Ye Duniya Hai Use Dar-ul-fitan Kahna Hi PaDta Hai

ye duniya hai use dar-ul-fitan kahna hi paDta hai

yahan har rahbar ko rahzan kahna hi paDta hai

wafur-e-aql-e-insan se baDhi insan-kushi itni

wafur-e-aql ko diwana-pan kahna hi paDta hai

wo sahra jis mein kaT jate hain din yaad-e-bahaaran se

ba-alfaz-e-digar us ko chaman kahna hi paDta hai

gul-afshani-e-guftar-e-mujahid be-asar ho jab

to us ko qissa-e-dar-o-rasan kahna hi paDta hai

yahan kitnon ke ji chhuTe yahan kitnon ke dam TuTe

wafa ki rah ko himmat-shikan kahna hi paDta hai

(672) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Duniya Hai Use Dar-ul-fitan Kahna Hi PaDta Hai In English By Famous Poet Arsh Malsiyani. Ye Duniya Hai Use Dar-ul-fitan Kahna Hi PaDta Hai is written by Arsh Malsiyani. Read famous Poem Ye Duniya Hai Use Dar-ul-fitan Kahna Hi PaDta Hai for youth and Student by Arsh Malsiyani. Free Download Ye Duniya Hai Use Dar-ul-fitan Kahna Hi PaDta Hai in PDF.