ZaKHm-e-dil Bhi Dikha Ke Dekh Liya

zaKHm-e-dil bhi dikha ke dekh liya

bas tumhein aazma ke dekh liya

dagh-e-dil se bhi raushni na mili

ye diya bhi jala ke dekh liya

shikwe miTte hain kyunkar aap se aap

samne un ke ja ke dekh liya

muzhda ai hasrat-e-dil-e-pur-shauq

us ne phir muskura ke dekh liya

aabru aur bhi hui pani

ashk-e-hasrat baha ke dekh liya

tark-e-ulfat ke sun liye ilzam

raaz-e-dil ko chhupa ke dekh liya

jo na dekha tha aaj tak hum ne

dil ki baaton mein aa ke dekh liya

koi apna nahin yahan ai 'arsh'

sab ko apna bana ke dekh liya

(1259) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ZaKHm-e-dil Bhi Dikha Ke Dekh Liya In English By Famous Poet Arsh Malsiyani. ZaKHm-e-dil Bhi Dikha Ke Dekh Liya is written by Arsh Malsiyani. Read famous Poem ZaKHm-e-dil Bhi Dikha Ke Dekh Liya for youth and Student by Arsh Malsiyani. Free Download ZaKHm-e-dil Bhi Dikha Ke Dekh Liya in PDF.