Dil-e-muztar Se Nalan Hain Udhar Wo Bhi Idhar Hum Bhi

dil-e-muztar se nalan hain udhar wo bhi idhar hum bhi

mohabbat mein pareshan hain udhar wo bhi idhar hum bhi

kise fursat hai mazi ki purani dastan chheDe

gham-e-hazir mein ghaltan hain udhar wo bhi idhar hum bhi

ba-zahir koi hairani nahin tark-e-mohabbat par

magar dil mein pasheman hain udhar wo bhi idhar hum bhi

KHizan ke jaur-e-paiham ki shikayat hai to donon ko

talabgar-e-bahaaran hain udhar wo bhi idhar hum bhi

unhen jaane ki jaldi hai hamein zid hai ki ruk jaen

gharaz donon pareshan hain udhar wo bhi idhar hum bhi

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-muztar Se Nalan Hain Udhar Wo Bhi Idhar Hum Bhi In English By Famous Poet Arsh Sahbai. Dil-e-muztar Se Nalan Hain Udhar Wo Bhi Idhar Hum Bhi is written by Arsh Sahbai. Read famous Poem Dil-e-muztar Se Nalan Hain Udhar Wo Bhi Idhar Hum Bhi for youth and Student by Arsh Sahbai. Free Download Dil-e-muztar Se Nalan Hain Udhar Wo Bhi Idhar Hum Bhi in PDF.