Un Se Izhaar-e-shikayat Karun Ya Na Karun

un se izhaar-e-shikayat karun ya na karun

lab pe larzan si hai ek baat karun ya na karun

khinch lae na kahin phir ye mohabbat ki kashish

jurat-e-tark-e-mulaqat karun ya na karun

meri KHamoshi-e-paiham ka unhen shikwa hai

zikr-e-be-dardi-e-haalat karun ya na karun

hai gham-e-haal mein insan pareshan-KHatir

fikr-e-farda ki koi baat karun ya na karun

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Se Izhaar-e-shikayat Karun Ya Na Karun In English By Famous Poet Arsh Sahbai. Un Se Izhaar-e-shikayat Karun Ya Na Karun is written by Arsh Sahbai. Read famous Poem Un Se Izhaar-e-shikayat Karun Ya Na Karun for youth and Student by Arsh Sahbai. Free Download Un Se Izhaar-e-shikayat Karun Ya Na Karun in PDF.