Nur-afshan Hai Wo Zulmat Mein Ujalon Ki Tarah

nur-afshan hai wo zulmat mein ujalon ki tarah

hum ne puja hai jise dil se shiwalon ki tarah

KHun-e-ummid hua KHun-e-tamanna gahe

dil chhalakta hi raha mai ke piyalon ki tarah

zindagi tere taghaful ki bhi had hai koi

is qadar naz na kar zohra-jamalon ki tarah

jab faramosh karenge hamein duniya wale

aur ubhar aaenge hum dil mein KHayalon ki tarah

dil to kya chiz hai hum ruh mein utre hote

tum ne chaha hi nahin chahne walon ki tarah

'arsh' be-baki-o-haq-goi hai mazhab apna

hum na badlenge kabhi waqt ki chaalon ki tarah

(3331) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nur-afshan Hai Wo Zulmat Mein Ujalon Ki Tarah In English By Famous Poet Arsh Sahbai. Nur-afshan Hai Wo Zulmat Mein Ujalon Ki Tarah is written by Arsh Sahbai. Read famous Poem Nur-afshan Hai Wo Zulmat Mein Ujalon Ki Tarah for youth and Student by Arsh Sahbai. Free Download Nur-afshan Hai Wo Zulmat Mein Ujalon Ki Tarah in PDF.