Ek Teri Be-ruKHi Se Zamana KHafa Hua
ek teri be-ruKHi se zamana KHafa hua
ai sang-dil tujhe bhi KHabar hai ki kya hua
daryuza-gar samajh ke to thi multafit hayat
wo yun kaho ki daman-e-dil hi na wa hua
Duba kuchh is tarah se mera aaftab-e-dil
sab kuchh hua ye phir na sahar-ashna hua
yun us ke dar pe baiThe hain jaise yahin ke hon
hae ye dard-e-ishq jo zanjir-e-pa hua
chhini hai ishq ne tab-o-tab-e-dimagh-o-dil
main kaise shah-zor se zor-azma hua
ghar se chalo to bandh ke sar se kafan chalo
shahr-e-wafa se dasht-e-fana hai mila hua
dil de ke KHush hun main ki hifazat ka gham gaya
tujh se qarib hai wo jo mujh se juda hua
lab se laga to bhul gae hum gham-e-hayat
saghar mein koi tujh sa hasin hai chhupa hua
pi hum ne KHub 'arsh' kashid-e-nigah-o-dil
kis mai-kade ka dar tha jo hum par na wa hua
(3627) Peoples Rate This