AaKHir Humne Taur Purana ChhoD Diya

aaKHir hum ne taur purana chhoD diya

us ki gali mein aana-jaana chhoD diya

manzar bhi sab banjh ruton mein Dub gae

aankhon par bhi pahra biThana chhoD diya

KHatm hui shorida-sari lab sil se gae

mahfil mahfil hansna-hansana chhoD diya

nazron par khiDki ke paT diwar kiye

darwazon mein us ka sajaana chhoD diya

jab se hua ehsas diya hone ka hamein

tez hawa ke samne jaana chhoD diya

Dar tha kahin kuchh apne liye bhi mang na len

hum ne dua ko hath uThana chhoD diya

'arsh' hua ek lafz jo minha yaadon se

hum ne ghar ko qufl lagana chhoD diya

(1772) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHir Humne Taur Purana ChhoD Diya In English By Famous Poet Arsh Siddiqui. AaKHir Humne Taur Purana ChhoD Diya is written by Arsh Siddiqui. Read famous Poem AaKHir Humne Taur Purana ChhoD Diya for youth and Student by Arsh Siddiqui. Free Download AaKHir Humne Taur Purana ChhoD Diya in PDF.