Raushni Ban Ke Sitaron Mein Rawan Rahte Hain
raushni ban ke sitaron mein rawan rahte hain
jism-e-aflak mein hum surat-e-jaan rahte hain
hain dil-e-dahr mein hum surat-e-ummid-e-nihan
misl-e-iman ruKH-e-hasti pe ayan rahte hain
jo na DhunDo to hamara koi maskan hi nahin
aur dekho to qarib rag-e-jaan rahte hain
har-nafas karte hain ik-tarfa tamasha paida
hum sar-e-dar bhi tazin jahan rahte hain
aur bhi ahl-e-nazar hain kabhi dekho to sahi
hum bhi is shahar mein ai kam-nazran rahte hain
dil ki dhaDkan se mila un ka pata kuchh hum ko
kis ko malum tha warna wo kahan rahte hain
wusat-e-dasht nahin ras chaman-zadon ko
hum tere shahar ki jaanib nigaran rahte hain
ashk girte hain to kuchh dil ko sakun milta hai
hae wo log jo mahrum-e-fughan rahte hain
zindagi-bhar ka hai ahbab se is dasht mein sath
misl-e-jaan rahte hain hum 'arsh' jahan rahte hain
(2629) Peoples Rate This