Aankhon Mein Kahin Uske Bhi Tufan To Nahin Tha

aankhon mein kahin us ke bhi tufan to nahin tha

wo mujh se juda ho ke pasheman to nahin tha

kyun mujh se na ki us ne sar-e-bazm koi baat

main sang-e-malamat se gurezan to nahin tha

han harf-e-tasalli ke liye tha main pareshan

pahlu mein mere dil tha kuhistan to nahin tha

kyun rasta dekha kiya us ka main sar-e-sham

be-dard ka mujh se koi paiman to nahin tha

jalwa tha tera aag mein har lahza huwaida

warna mujhe jal marne ka arman to nahin tha

tha dil bhi kabhi shahr-e-tamanna se mumasil

ye qarya hamesha se bayaban to nahin tha

tufan-e-alam kyun mujhe sahil pe utara

main shor-e-talatum se hirasan to nahin tha

rakkha tha chhupa kar jise alfaz mein main ne

parde mein suKHan ke bhi wo uryan to nahin tha

kahte hain ki hai 'arsh' nigun pae nabi par

aisa wo koi sahab-e-iman to nahin tha

(1297) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein Kahin Uske Bhi Tufan To Nahin Tha In English By Famous Poet Arsh Siddiqui. Aankhon Mein Kahin Uske Bhi Tufan To Nahin Tha is written by Arsh Siddiqui. Read famous Poem Aankhon Mein Kahin Uske Bhi Tufan To Nahin Tha for youth and Student by Arsh Siddiqui. Free Download Aankhon Mein Kahin Uske Bhi Tufan To Nahin Tha in PDF.