Azab-e-be-dili-e-jaan-e-mubtala Na Gaya

azab-e-be-dili-e-jaan-e-mubtala na gaya

jo sar pe bar tha andesha-e-saza na gaya

KHamosh hum bhi nahin the huzur-e-yar magar

jo kahna chahte the bas wahi kaha na gaya

palaT ke dekhne ki ab to aarzu bhi nahin

thi aashiqi hamein jab KHub, wo zamana gaya

rahe musir ki uTha den wo anjuman se hamein

hum uThna chahte bhi the magar uTha na gaya

hamare nam se jab zikr-e-bewafai chala

junun mein bol paDe hum se bhi raha na gaya

hamara qissa-e-gham bich mein wo chhoD uTThe

unhi ki zid thi magar un hi se suna na gaya

zamane bhar ne kaha 'arsh' jo, KHushi se saha

par ek lafz jo us ne kaha saha na gaya

(1556) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Azab-e-be-dili-e-jaan-e-mubtala Na Gaya In English By Famous Poet Arsh Siddiqui. Azab-e-be-dili-e-jaan-e-mubtala Na Gaya is written by Arsh Siddiqui. Read famous Poem Azab-e-be-dili-e-jaan-e-mubtala Na Gaya for youth and Student by Arsh Siddiqui. Free Download Azab-e-be-dili-e-jaan-e-mubtala Na Gaya in PDF.