Phir Hunar-mandon Ke Ghar Se Be-hunar Jata Hun Main

phir hunar-mandon ke ghar se be-hunar jata hun main

tum KHabar be-zar ho ahl-e-nazar jata hun main

jeb mein rakh li hain kyun tum ne zabanen kaT kar

kis se ab ye ajnabi puchhe kidhar jata hun main

han main saya hun kisi shai ka magar ye bhi to dekh

gar taaqub mein na ho suraj to mar jata hun main

hath aankhon se uTha kar dekh mujh se kuchh na puchh

kyun ufuq par phailti subhon se Dar jata hun main

bas yunhi tanha rahunga is safar mein umr bhar

jis taraf koi nahin jata udhar jata hun main

KHauf ki ye intiha sadiyon se aankhen band hain

shauq ki ye ablahi be-baal-o-par jata hun main

'arsh' rasmon ki panah-gahen bhi ab sar par nahin

aur wahshi raston par be-sipar jata hun main

(985) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Hunar-mandon Ke Ghar Se Be-hunar Jata Hun Main In English By Famous Poet Arsh Siddiqui. Phir Hunar-mandon Ke Ghar Se Be-hunar Jata Hun Main is written by Arsh Siddiqui. Read famous Poem Phir Hunar-mandon Ke Ghar Se Be-hunar Jata Hun Main for youth and Student by Arsh Siddiqui. Free Download Phir Hunar-mandon Ke Ghar Se Be-hunar Jata Hun Main in PDF.