Main Aalam-e-imkan Mein Jise DhunDh Raha Hun

main aalam-e-imkan mein jise DhunDh raha hun

wo puchh raha hai ki kise DhunDh raha hun

mazi ke bayaban mein jo gum ho gaya mujh se

main haal ke jangal mein use DhunDh raha hun

go pesh-e-nazar ek tamasha hai wa-lekin

ai wajh-e-tamasha main tujhe DhunDh raha hun

tu hath jo aata nahin is ka hai sabab kya

shayad main tujhe tujh se pare DhunDh raha hun

chhina tha jise subh-e-gurezan ki chamak ne

us lamhe ko ab sham Dhale DhunDh raha hun

har ek se jo kahta hon kahin 'arsh' ko DhunDo

kyun apne bahane main use DhunDh raha hun

(1184) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Aalam-e-imkan Mein Jise DhunDh Raha Hun In English By Famous Poet Arsh Siddiqui. Main Aalam-e-imkan Mein Jise DhunDh Raha Hun is written by Arsh Siddiqui. Read famous Poem Main Aalam-e-imkan Mein Jise DhunDh Raha Hun for youth and Student by Arsh Siddiqui. Free Download Main Aalam-e-imkan Mein Jise DhunDh Raha Hun in PDF.