Kya Sath Tera Dun Ki Main Ek Mauj-e-hawa Hun

kya sath tera dun ki main ek mauj-e-hawa hun

bas ek nafas arz-e-tamanna ko ruka hun

rahta hun bagulon ki tarah raqs mein be-tab

ai ham-nafaso main dil-e-sahra se uTha hun

qatra hun main dariya mein mujhe kuchh nahin malum

ham-rah mere kaun hai main kis se juda hun

ek lamha Thahar mujh ko bhi ham-rah liye chal

ai laila-e-hasti tera naqsh-e-kaf-e-pa hun

ai zabt-e-nazar de mere iman ki gawahi

tu hi to samajhta hai ki main kaun hun kya hun

chahe bhi to wo mujh se juda ho nahin sakta

wo hai meri zanjir to main us ki sada hun

main arsh-nashin bhi hun tere ghar ka makin bhi

main nikhat-e-iman hun main bu-e-wafa hun

(1018) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Sath Tera Dun Ki Main Ek Mauj-e-hawa Hun In English By Famous Poet Arsh Siddiqui. Kya Sath Tera Dun Ki Main Ek Mauj-e-hawa Hun is written by Arsh Siddiqui. Read famous Poem Kya Sath Tera Dun Ki Main Ek Mauj-e-hawa Hun for youth and Student by Arsh Siddiqui. Free Download Kya Sath Tera Dun Ki Main Ek Mauj-e-hawa Hun in PDF.