Hum Had-e-indimal Se Bhi Gae

hum had-e-indimal se bhi gae

ab fareb-e-KHayal se bhi gae

dil pe tala zaban par pahra

yani ab arz-e-haal se bhi gae

jam-e-jam ki talash le Dubi

apne jam-e-sifal se bhi gae

KHauf-e-kam-maegi bura ho tera

aarzu-e-visal se bhi gae

shorish-e-zindagi tamam hui

gardish-e-mah-o-sal se bhi gae

yun miTe hum ki ab zawal nahin

shauq-e-auj-e-kamal se bhi gae

hum ne chaha tha teri chaal chalen

hae hum apni chaal se bhi gae

husn-e-farda KHayal-o-KHwab raha

aur mazi o haal se bhi gae

hum tahi-dast waqf-e-gham hain wahi

tang-na-e-sawal se bhi gae

sajda bhi 'arsh' un ko kar dekha

is rah-e-paemal se bhi gae

(968) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Had-e-indimal Se Bhi Gae In English By Famous Poet Arsh Siddiqui. Hum Had-e-indimal Se Bhi Gae is written by Arsh Siddiqui. Read famous Poem Hum Had-e-indimal Se Bhi Gae for youth and Student by Arsh Siddiqui. Free Download Hum Had-e-indimal Se Bhi Gae in PDF.