Hairan Hun Ki Ye Kaun Sa Dastur-e-wafa Hai

hairan hun ki ye kaun sa dastur-e-wafa hai

tu misl-e-rag-e-jaan hai to kyun mujh se juda hai

tu ahl-e-nazar hai to nahin tujh ko KHabar kyun

pahlu mein tere koi zamane se khaDa hai

likkha hai mera nam samundar pe hawa ne

aur dono ki fitrat mein sukun hai na wafa hai

main shahr-o-bayaban mein tujhe DhunDh chuka hun

be-dard tu kis hajla-pinhan mein chhupa hai

hum rakhte hain dawa ki hai qabu hamein dil par

tu samne aa jae to ye baat juda hai

main dozaKH-e-jaan mein bhi raha mahw-e-tag-o-taz

ai KHaliq-e-aflaq tujhe to ye pata hai

gham hai ki musalsal usi shiddat se hai jari

yun kahne ko is umr ka har lamha naya hai

har samt hawa tez faza ta-ba-ufuq tang

dil zarra-e-sahra hai bagulon mein ghira hai

kyun jage hue shahr mein tanha hai har ek shaKHs

ye raushni kaisi hai ki saya bhi juda hai

ai dawar-e-mahshar tujhe KHud teri qasam hai

insaf se kah dil kabhi tera bhi phaTa hai

mahsus kiya hai kabhi tu ne bhi wo KHanjar

gham ban ke jo har shaKHs ke sine mein gaDa hai

Thahrae use 'arsh' koi kaise jafa-kesh

jo mujh se alag rah ke bhi hamrah chala hai

(1036) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hairan Hun Ki Ye Kaun Sa Dastur-e-wafa Hai In English By Famous Poet Arsh Siddiqui. Hairan Hun Ki Ye Kaun Sa Dastur-e-wafa Hai is written by Arsh Siddiqui. Read famous Poem Hairan Hun Ki Ye Kaun Sa Dastur-e-wafa Hai for youth and Student by Arsh Siddiqui. Free Download Hairan Hun Ki Ye Kaun Sa Dastur-e-wafa Hai in PDF.