Waqt Ka Jhonka Jo Sab Patte UDa Kar Le Gaya

waqt ka jhonka jo sab patte uDa kar le gaya

kyun na mujh ko bhi tere dar se uTha kar le gaya

raat apne chahne walon pe tha wo mehrban

main na jata tha magar wo mujh ko aa kar le gaya

ek sail-e-be-aman jo aasiyon ko tha saza

nek logon ke gharon ko bhi baha kar le gaya

main ne darwaza na rakkha tha ki Darta tha magar

ghar ka sarmaya wo diwaren gira kar le gaya

wo ayaadat ko to aaya tha magar jate hue

apni taswiren bhi kamre se uTha kar le gaya

main jise barson ki chahat se na hasil kar saka

ek ham-saya use kal warghala kar le gaya

saj rahi thi jins jo bazar mein ek umr se

kal use ek shaKHs pardon mein chhupa kar le gaya

main khaDa footpath par karta raha rickshaw talash

mera dushman us ko motor mein biTha kar le gaya

so raha hun mein liye KHali lifafa hath mein

us mein jo mazmun tha wo qasid chura kar le gaya

raqs ke waqfe mein jab karne ko tha main arz-e-shauq

koi us ko mere pahlu se uTha kar le gaya

ai azab-e-dosti mujh ko bata mere siwa

kaun tha jo tujh ko sine se laga kar le gaya

mehrban kaise kahun main 'arsh' us bedard ko

nur aankhon ka jo ek jalwa dikha kar le gaya

(1189) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ka Jhonka Jo Sab Patte UDa Kar Le Gaya In English By Famous Poet Arsh Siddiqui. Waqt Ka Jhonka Jo Sab Patte UDa Kar Le Gaya is written by Arsh Siddiqui. Read famous Poem Waqt Ka Jhonka Jo Sab Patte UDa Kar Le Gaya for youth and Student by Arsh Siddiqui. Free Download Waqt Ka Jhonka Jo Sab Patte UDa Kar Le Gaya in PDF.