Zanjir Se UThti Hai Sada Sahmi Hui Si

zanjir se uThti hai sada sahmi hui si

jari hai abhi gardish-e-pa sahmi hui si

dil TuT to jata hai pe girya nahin karta

kya Dar hai ki rahti hai wafa sahmi hui si

uTh jae nazar bhul ke gar jaanib-e-aflak

honTon se nikalti hai dua sahmi hui si

han hans lo rafiqo kabhi dekhi nahin tum ne

namnak nigahon mein haya sahmi hui si

taqsir koi ho to saza umr ka rona

miT jaen wafa mein to jaza sahmi hui si

han hum ne bhi paya hai sila apne hunar ka

lafzon ke lifafon mein baqa sahmi hui si

har luqme pe khaTka hai kahin ye bhi na chhin jae

mede mein utarti hai ghiza sahmi hui si

uThti to hai sau bar pe mujh tak nahin aati

is shahr mein chalti hai hawa sahmi hui si

hai 'arsh' wahan aaj muhit ek KHamoshi

jis rah se guzri thi qaza sahmi hui si

(988) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zanjir Se UThti Hai Sada Sahmi Hui Si In English By Famous Poet Arsh Siddiqui. Zanjir Se UThti Hai Sada Sahmi Hui Si is written by Arsh Siddiqui. Read famous Poem Zanjir Se UThti Hai Sada Sahmi Hui Si for youth and Student by Arsh Siddiqui. Free Download Zanjir Se UThti Hai Sada Sahmi Hui Si in PDF.