Ghalat Nahin Hai Dil-e-sulh-KHu Jo Bolta Hai

ghalat nahin hai dil-e-sulh-KHu jo bolta hai

magar ye harf-e-baghawat lahu jo bolta hai

mere ujaDne ki takmil kab hui jaanan

daraKHt-e-yaad ki Tahni pe tu jo bolta hai

sar-sukut-e-adam kis ke honT hilte hain

koi to hai pas-e-diwar-e-hu jo bolta hai

zamane teri haqiqat samajh mein aati hai

hawa ki thap se KHali subu jo bolta hai

nafasaton ka qarina hai teri KHamoshi

magar ye jeb ka tar-e-rafu jo bolta hai

idhar ye kan hain qahr-e-KHizan jo sunte hain

udhar wo peD hai sehr-e-numu jo bolta hai

nafas ke jal mein kab qaid ho saka 'arshad'

wo ek parind-e-fana ku-ba-ku jo bolta hai

(701) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghalat Nahin Hai Dil-e-sulh-KHu Jo Bolta Hai In English By Famous Poet Arshad Abdul Hamid. Ghalat Nahin Hai Dil-e-sulh-KHu Jo Bolta Hai is written by Arshad Abdul Hamid. Read famous Poem Ghalat Nahin Hai Dil-e-sulh-KHu Jo Bolta Hai for youth and Student by Arshad Abdul Hamid. Free Download Ghalat Nahin Hai Dil-e-sulh-KHu Jo Bolta Hai in PDF.