Fasil-e-sabr Mein Rauzan Banana Chahti Hai

fasil-e-sabr mein rauzan banana chahti hai

sipah-e-taish mere dil ko Dhana chahti hai

lipaT lipaT ke shajar ko lubhana chahti hai

har ek bel mohabbat jatana chahti hai

riyal-e-KHwab luTati hai donon hathon se

amir-e-shauq mujhe aazmana chahti hai

mera hi sina kushada hai chahaton ke tain

tufang-e-dard mera hi nishana chahti hai

main apne aap ko bhi dekhne se qasir hun

ye sham-e-hijr mujhe kya dikhana chahti hai

khula ki sahil-e-dariya pe main pahunch hi gaya

to ye ana mujhe sahra mein lana chahti hai

numu ko rok qalam ko lagam de 'arshad'

ki ye ghazal tere parde uThana chahti hai

(663) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fasil-e-sabr Mein Rauzan Banana Chahti Hai In English By Famous Poet Arshad Abdul Hamid. Fasil-e-sabr Mein Rauzan Banana Chahti Hai is written by Arshad Abdul Hamid. Read famous Poem Fasil-e-sabr Mein Rauzan Banana Chahti Hai for youth and Student by Arshad Abdul Hamid. Free Download Fasil-e-sabr Mein Rauzan Banana Chahti Hai in PDF.