Charagh-e-dard Ki Sham-e-tarab Pukarti Hai

charagh-e-dard ki sham-e-tarab pukarti hai

ek aag si lab-e-dariya-e-shab pukarti hai

adu se jaan bachchi hai na dost bichhDe hain

ye sham-e-girya hamein be-sabab pukarti hai

charagh-e-shauq pe rah rah ke nur aata hai

hawa ba-tarz-e-ruKH-o-chashm-o-lab pukarti hai

shahid-e-ab-o-namak hain so baDhte jate hain

shikast o fath piyaadon ko kab pukarti hai

sadaen de ke bulati hai shah-banu-e-shahr

faqir jis ke hain dekhen wo kab pukarti hai

main jaise din ki tab-o-tab se pareshan hun

ba-waqt-e-sham KHushi ek ajab pukarti hai

hum aise kaun anokhe tulua hote hain

jo hum ko dekh ke duniya ghazab pukarti hai

(631) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh-e-dard Ki Sham-e-tarab Pukarti Hai In English By Famous Poet Arshad Abdul Hamid. Charagh-e-dard Ki Sham-e-tarab Pukarti Hai is written by Arshad Abdul Hamid. Read famous Poem Charagh-e-dard Ki Sham-e-tarab Pukarti Hai for youth and Student by Arshad Abdul Hamid. Free Download Charagh-e-dard Ki Sham-e-tarab Pukarti Hai in PDF.