Hawa-e-hirs-o-hawas Se Mafar Bhi Karna Hai

hawa-e-hirs-o-hawas se mafar bhi karna hai

isi daraKHt ke sae mein ghar bhi karna hai

ana hi dost ana hi harif hai meri

isi se jang isi ko sipar bhi karna hai

chal aa tujhe kisi mahfuz ghar mein pahuncha dun

phir is ke baad mujhe to safar bhi karna hai

yahi nahin ki pahunchna hai aasmanon par

dua-e-wasl tujhe ab asar bhi karna hai

hamein to shama ke donon sire jalane hain

ghazal bhi kahni hai shab ko basar bhi karna hai

(693) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa-e-hirs-o-hawas Se Mafar Bhi Karna Hai In English By Famous Poet Arshad Abdul Hamid. Hawa-e-hirs-o-hawas Se Mafar Bhi Karna Hai is written by Arshad Abdul Hamid. Read famous Poem Hawa-e-hirs-o-hawas Se Mafar Bhi Karna Hai for youth and Student by Arshad Abdul Hamid. Free Download Hawa-e-hirs-o-hawas Se Mafar Bhi Karna Hai in PDF.