Mehr O Mahtab Ko Mere Hi Nishan Jaanti Hai

mehr o mahtab ko mere hi nishan jaanti hai

main kahan hun wo mari sarw-e-rawan jaanti hai

tum se ho kar hi to aai hai lahu tak mere

tum ko ye surKHi-e-jaan shola-ruKHan jaanti hai

kaun apna hai samajhti hai KHamoshi shab ki

ajnabi kaun hai aawaz-e-sagan jaanti hai

dil ko malum hai kya baat batani hai use

us se kya baat chhupani hai zaban jaanti hai

KHak ko chhoD ke jaana hamein manzur nahin

hum KHas-o-KHar nahin ju-e-tapan jaanti hai

tu kabhi KHwahish-e-duniya nahin karne wala

mere abdal tujhe danish-e-jaan jaanti hai

mere pas aa ke bhi rahti hai gurezan mujh se

main na Dubunga meri mauj-e-guman jaanti hai

is tarah ghurti rahti hai shab-o-roz mujhe

jaise duniya mere sab raaz-e-nihan jaanti hai

(703) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mehr O Mahtab Ko Mere Hi Nishan Jaanti Hai In English By Famous Poet Arshad Abdul Hamid. Mehr O Mahtab Ko Mere Hi Nishan Jaanti Hai is written by Arshad Abdul Hamid. Read famous Poem Mehr O Mahtab Ko Mere Hi Nishan Jaanti Hai for youth and Student by Arshad Abdul Hamid. Free Download Mehr O Mahtab Ko Mere Hi Nishan Jaanti Hai in PDF.