Lakir-e-sang Ko Anqa-misal Humne Kiya

lakir-e-sang ko anqa-misal hum ne kiya

bhula diya use dil se kamal hum ne kiya

shuru us ne kiya tha tamasha qurbat ka

phir us ke baad to sara dhamal hum ne kiya

ulaT ke rakh diye hum ne junun ke sare usul

junub-e-dasht ko shahr-e-shimal hum ne kiya

farogh-e-zaKHm se raushan rakha siyahi ko

ata-e-hijr ko najm-e-visal hum ne kiya

basa liya teri KHushbu ko mazra-e-jaan mein

shaguft-e-gham tujhe kaisa nihaal hum ne kiya

ek aur mauj thi is mauj-e-agahi se udhar

so auj-e-aql ko nazr-e-zawal hum ne kiya

bahana koi nahin ab safar mein rahne ka

zamin-e-KHwab tujhe paemal hum ne kiya

ye be-niyazi zaruri thi kar-e-ulfat mein

so KHud ka dhyan na tera KHayal hum ne kiya

saba to KHud hi muKHatib thi ai faza-e-qafas

gawah rahiyo na koi sawal hum ne kiya

dhanak si ban gai goyai se samaat tak

ye kis ke rang ko juzw-e-maqal hum ne kiya

hamare zaKHm ki surKHi baDha gaya 'arshad'

wo barg-e-sabz jise dast-mal hum ne kiya

(746) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lakir-e-sang Ko Anqa-misal Humne Kiya In English By Famous Poet Arshad Abdul Hamid. Lakir-e-sang Ko Anqa-misal Humne Kiya is written by Arshad Abdul Hamid. Read famous Poem Lakir-e-sang Ko Anqa-misal Humne Kiya for youth and Student by Arshad Abdul Hamid. Free Download Lakir-e-sang Ko Anqa-misal Humne Kiya in PDF.