Koi Bhi Shai Ho Miyan Jaan Se Pyari Kise Hai

koi bhi shai ho miyan jaan se pyari kise hai

jaan haari hai to ye dekhiye haari kise hai

kornish gul ko kare kaliyon ko aadab kahe

hosh ye mamlikat-e-baad-e-bahaari kise hai

dil bhi bas ek namuna hai ki duniya pe miTa

nazr zeba thi kise aur guzari kise hai

ek khunTe se bandhe dasht-o-daman dekhe hain

ab mayassar ram-e-ahu-e-tatari kise hai

uD chalo muntaKHab-e-KHas hain us ke hum log

warna hasil ye tamanna ki sawari kise hai

ek sitare ke liye sar falak karta hun

dosto fursat-e-sayyara-shikari kise hai

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Bhi Shai Ho Miyan Jaan Se Pyari Kise Hai In English By Famous Poet Arshad Abdul Hamid. Koi Bhi Shai Ho Miyan Jaan Se Pyari Kise Hai is written by Arshad Abdul Hamid. Read famous Poem Koi Bhi Shai Ho Miyan Jaan Se Pyari Kise Hai for youth and Student by Arshad Abdul Hamid. Free Download Koi Bhi Shai Ho Miyan Jaan Se Pyari Kise Hai in PDF.