Mere KHeme KHasta-haal Mein Hain Mere Raste Dhund Ke Jal Mein Hain

mere KHeme KHasta-haal mein hain mere raste dhund ke jal mein hain

mujhe sham hui hai jangal mein mere sare sitare zawal mein hain

mujhe rangon se koi shaghl nahin mujhe KHushbu mein koi daKHl nahin

mere nam ka koi naKHl nahin mere mausam KHak-e-malal mein hain

aakash hai qadmon ke niche dariya ka pani sar par hai

ek machhli naw pe baiThi hai aur sab machhuware jal mein hain

ye duniya akbar zulmon ki hum majburi ki anarkali

hum diwaron ke bich mein hain hum nargha-e-jabr-o-jalal mein hain

mere dil ke nur se baDh ke nahin meri jaan ke surur se baDh ke nahin

jo mah o mehr falak par hain jo lal o guhar patal mein hain

ek maghrib aaya mashriq mein meri fauj ke TukDe kar Dale

ab aadhe sipahi junub mein hain aur aadhe sipahi shumal mein hain

iman ki chhagal phuT gai aamal ki laThi TuT gai

hum aise gallabanon ke sab naqe KHauf-e-qital mein hain

(858) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere KHeme KHasta-haal Mein Hain Mere Raste Dhund Ke Jal Mein Hain In English By Famous Poet Arshad Abdul Hamid. Mere KHeme KHasta-haal Mein Hain Mere Raste Dhund Ke Jal Mein Hain is written by Arshad Abdul Hamid. Read famous Poem Mere KHeme KHasta-haal Mein Hain Mere Raste Dhund Ke Jal Mein Hain for youth and Student by Arshad Abdul Hamid. Free Download Mere KHeme KHasta-haal Mein Hain Mere Raste Dhund Ke Jal Mein Hain in PDF.