Mile Jo Us Se To Yaadon Ke Par Nikal Aae

mile jo us se to yaadon ke par nikal aae

is ek maqam pe kitne safar nikal aae

ujaD dasht mein bas jae meri virani

ajab nahin ki yahin koi ghar nikal aae

bas ek lamhe ko chamki thi us ki tegh-e-nazar

KHala-e-waqt mein qarnon ke sar nikal aae

machan bandhne wale nishana chuk gae

ki KHud machan ki jaanib se Dar nikal aae

shahid-e-ku-e-mohabbat hain kanp jate hain

nadim KHair se koi agar nikal aae

daraKHt-e-sabr-burida sahi pe jaante hain

hua hai ye bhi ki us par samar nikal aae

adu ke hath bhi tegh o tabar se KHali hain

ajib kya hai jo hum be-sipar nikal aae

gham-e-jahan o gham-e-yar do kinare hain

udhar jo Dube wo aksar idhar nikal aae

yahan to ahl-e-hunar ke bhi panw jalte hain

ye rah-e-sher hai 'arshad' kidhar nikal aae

(748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mile Jo Us Se To Yaadon Ke Par Nikal Aae In English By Famous Poet Arshad Abdul Hamid. Mile Jo Us Se To Yaadon Ke Par Nikal Aae is written by Arshad Abdul Hamid. Read famous Poem Mile Jo Us Se To Yaadon Ke Par Nikal Aae for youth and Student by Arshad Abdul Hamid. Free Download Mile Jo Us Se To Yaadon Ke Par Nikal Aae in PDF.