Mujhko Taqdir Ne Yun Be-sar-o-asar Kiya

mujh ko taqdir ne yun be-sar-o-asar kiya

ek darwaza dua ka tha so diwar kiya

KHwab-e-ainda tere lams ne sarshaar kiya

KHushk baadal the hamein tu ne guhar-bar kiya

dekhne ki thi nigahon mein ana ki surat

us giraftar ne jab mujh ko giraftar kiya

muddaton ghaw kiye jis ke badan par hum ne

waqt aaya to usi KHwab ko talwar kiya

meri chahat ne ajab rang dikhaya mujh ko

kashmakash se meri aankhon ko giran-bar kiya

ek masiha ko mera chashm-numa Thahraya

ek qatil ko mera aaina-bardar kiya

kaT kar phenk di sansar ki kuchen hum ne

sabr ko phul kiya phul ko talwar kiya

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Taqdir Ne Yun Be-sar-o-asar Kiya In English By Famous Poet Arshad Abdul Hamid. Mujhko Taqdir Ne Yun Be-sar-o-asar Kiya is written by Arshad Abdul Hamid. Read famous Poem Mujhko Taqdir Ne Yun Be-sar-o-asar Kiya for youth and Student by Arshad Abdul Hamid. Free Download Mujhko Taqdir Ne Yun Be-sar-o-asar Kiya in PDF.