Rukte Hue Qadmon Ka Chalan Mere Liye Hai

rukte hue qadmon ka chalan mere liye hai

sayyara-e-hairat ki thakan mere liye hai

koi mera aahu mujhe la kar nahin deta

kahte to sabhi hain ki KHutan mere liye hai

tap si mujhe aa jati hai aaghosh mein us ki

wo barf ke gale sa badan mere liye hai

hain ju-e-tab-o-tab pe anwar ke pyase

aur sham ka ye sanwala-pan mere liye hai

qandhaar na kabul na yaman mere liye hai

miTTi ke ujaDne ki chubhan mere liye hai

barut mein bhunte hue alfaz o mafahim

ab to yahi taswir-e-suKHan mere liye hai

duniya hi nahin KHud se KHafa rahta hun 'arshad'

jine ka ye andaz hi fan mere liye hai

(681) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rukte Hue Qadmon Ka Chalan Mere Liye Hai In English By Famous Poet Arshad Abdul Hamid. Rukte Hue Qadmon Ka Chalan Mere Liye Hai is written by Arshad Abdul Hamid. Read famous Poem Rukte Hue Qadmon Ka Chalan Mere Liye Hai for youth and Student by Arshad Abdul Hamid. Free Download Rukte Hue Qadmon Ka Chalan Mere Liye Hai in PDF.