Shart-e-diwar-o-dar-o-baam UTha Di Hai To Kya

shart-e-diwar-o-dar-o-baam uTha di hai to kya

qaid phir qaid hai zanjir baDha di hai to kya

ab bhi tan tegh se laD jae to chhan bolta hai

waqt ne is pe agar dhul jama di hai to kya

mere KHusraw ne mujhe gham bhi ziyaada baKHsha

daulat-e-ishq agar mujh ko siwa di hai to kya

hum bhi tayyar hain phir jaan luTane ke liye

samne phir wahi kufa wahi wadi hai to kya

mujrim-e-dil ko kahan faisla sunne ka dimagh

us ne baKHsha hai to kya aur saza di hai to kya

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shart-e-diwar-o-dar-o-baam UTha Di Hai To Kya In English By Famous Poet Arshad Abdul Hamid. Shart-e-diwar-o-dar-o-baam UTha Di Hai To Kya is written by Arshad Abdul Hamid. Read famous Poem Shart-e-diwar-o-dar-o-baam UTha Di Hai To Kya for youth and Student by Arshad Abdul Hamid. Free Download Shart-e-diwar-o-dar-o-baam UTha Di Hai To Kya in PDF.