SuKHan Ke Chaak Mein Pinhan Tumhaari Chahat Hai

suKHan ke chaak mein pinhan tumhaari chahat hai

wagarna kuza-gari ki kise zarurat hai

zamin ke pas kisi dard ka ilaj nahin

zamin hai ki mere ahd ki siyasat hai

ye intizar nahin shama hai rifaqat ki

is intizar se tanhai KHub-surat hai

main kaise war dun tujh par mere sitara-e-sham

ye harf-e-KHwab to ek chand ki amanat hai

main KHak-e-KHwab palak se jhaTakne wala tha

pata chala ki yahi hasil-e-masafat hai

ye mustatil sa KHaka ki jis ko ghar kahiye

usi ke daera o dar mein meri jannat hai

ye KHosha-chini-e-KHwan-e-anis hai 'arshad'

namak namat jo mere sher mein fasahat hai

(918) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SuKHan Ke Chaak Mein Pinhan Tumhaari Chahat Hai In English By Famous Poet Arshad Abdul Hamid. SuKHan Ke Chaak Mein Pinhan Tumhaari Chahat Hai is written by Arshad Abdul Hamid. Read famous Poem SuKHan Ke Chaak Mein Pinhan Tumhaari Chahat Hai for youth and Student by Arshad Abdul Hamid. Free Download SuKHan Ke Chaak Mein Pinhan Tumhaari Chahat Hai in PDF.