Aashiq-e-gesu-o-qad Tere Gunahgar Hain Sab

aashiq-e-gesu-o-qad tere gunahgar hain sab

mustahiq dar ke phansi ke saza-war hain sab

pas atibba ko hai mayus parastar hain sab

tere bimar-e-mohabbat ke bad-asar hain sab

dil-dahi ke bhi nahin tarz se waqif asla

ye hasinan-e-jahan nam ko dildar hain sab

ab ye surat hai mohabbat mein tumhaari ai jaan

apne begane meri shakl se bezar hain sab

zulm-e-sayyaad saha jae yakayak kyunkar

hum asiran-e-qafas taza giraftar hain sab

husn yakta-e-do-alam hai tera hi ai dost

teri wahdat ke muqir kafir-o-din-dar hain sab

ek bhi baat na dil le ke nibahenge huzur

ye zabani hi faqat aap ke iqrar hain sab

be-zabani se hain majbur nahin sun lete

qail is aabla-pai ke mere KHar hain sab

na paDo fikr-e-dahan-o-kamar-e-yar mein tum

koi waqif nahin ye ghaib ke asrar hain sab

us mein taus-e-chaman ko hui ya kabk-e-dari

ai pari-zad tere Kushta-e-raftar hain sab

barish-e-girya ke hai sath hawa aankhon ki

KHana-e-dil ki KHarabi ke ye aasar hain sab

qais-o-farhad ko sauda tha tera ishq na tha

tere diwana-e-jaan-baKHta hoshiyar hain sab

yahi insaf tere ahd mein hai ai shah-e-husn

wajib-ul-qatl mohabbat ke gunahgar hain sab

un buton se nahin ummid KHuda-tarsi ki

rahm dil un mein nahin ek sitamgar hain sab

baat kis tarah dam-e-shikwa ho sarsabz apni

ek apna nahin wan un ke taraf-dar hain sab

kuchh unhen qadr nahin naqd-e-dil-e-ashiq ki

hasinan-e-jahan zar ke talabgar hain sab

kis tawaqqo pe koi bagh-o-makan banwae

qabr mein ek na kaam aaega bekar hain sab

un dil-awaron ke altaf par ai dil tu na bhul

ranj kal denge yahi aaj jo gham-KHwar hain sab

fikr-e-iza mein meri kuchh nahin tanha wahi shoKH

naz-o-andaz-o-ada aur pae aazar hain sab

chida mashuqon ke ausaf kiye hain mauzun

muntaKHab karne ke qabil mere ashaar hain sab

tujh sa KHush-waza KHush-andaz na dekha ab tak

yun to mashuq zamane ke tarah-dar hain sab

bhule hain gardish-e-mina-e-falak ka nairang

ahl-e-zar jitne hain mast-e-mai-e-pindar hain sab

dosti kar ke 'qalaq' un se bahut pachhtata

dushman-e-jaan mere KHuban-e-jafa-kar hain sab

(859) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashiq-e-gesu-o-qad Tere Gunahgar Hain Sab In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Aashiq-e-gesu-o-qad Tere Gunahgar Hain Sab is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Aashiq-e-gesu-o-qad Tere Gunahgar Hain Sab for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Aashiq-e-gesu-o-qad Tere Gunahgar Hain Sab in PDF.