Aariz Mein Tumhaare Kya Safa Hai

aariz mein tumhaare kya safa hai

munh aaina apna dekhta hai

dumbaala jo surme ka bana hai

ye tegh-e-nigah ka par tula hai

bimar jo teri chashm ka hai

nargis pe kab aankh Dalta hai

do lakh fareb-e-hazrat-e-ishq

banda na kahega but KHuda hai

sab kahte hain jis ko mah-e-kaamil

naqsha kaf-e-pa-e-yar ka hai

gardish mein hai chashm zer-e-abru

kya nimcha charKH par chaDha hai

mara hai dikha ke dast-e-rangin

shahid mere KHun ki hina hai

phir aae bahaar phir ho wahshat

dil rose duaen mangta hai

kanTon se ye kah rahi hai laila

majnun mera barahna-pa hai

joban pe hain ab to anar-e-pistan

naKHl-e-qad-e-yar kya phala hai

be-wajh jo phir gae ho phir jao

bande ka bhi ai buto KHuda hai

jo chaho karo ki tum ho muKHtar

majbur hun zor kya mera hai

karti nahin kyun safar meri ruh

kya band adam ka rasta hai

rone mein hain yaad dant us ke

har ku har ashk be-baha hai

wasf us ka 'qalaq' ho kis zaban se

wo but ek qudrat-e-KHuda hai

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aariz Mein Tumhaare Kya Safa Hai In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Aariz Mein Tumhaare Kya Safa Hai is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Aariz Mein Tumhaare Kya Safa Hai for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Aariz Mein Tumhaare Kya Safa Hai in PDF.