Baqi Na Hujjat Ek Dam-e-isbaat Rah Gai

baqi na hujjat ek dam-e-isbaat rah gai

sabit kiya jo us ka dahan baat rah gai

kya jald wasl-e-yar ki kam raat rah gai

jo baat chahte the wahi raat rah gai

bad-namiyon ke Dar se wo milte hain gah gah

chori-chhupe ki un se mulaqat rah gai

giryan wo hun jo abr-e-mizha ki jhaDi lagi

munh mera dekh dekh ke barsat rah gai

har-waqt baat baat pe dete ho jhiDkiyan

kyun sahab ab hamari ye auqat rah gai

milta nahin kisi se bashar koi be-gharaz

matlab ki ab jahan mein mulaqat rah gai

gardish mein sath un aankhon ka koi na de saka

din rah gaya kabhi to kabhi raat rah gai

waiz ko apne rang pe le aaya khinch kar

aaj aabru-e-rind-e-KHarabaat rah gai

baaten sunain ghairon ke aage jo yar ne

farmaiye phir aap ki kya baat rah gai

furqat mein sabr-o-hosh to sab kuch kar gae

par ek jaan morid-e-afat rah gai

tauhin-e-mai na karti thi rindon mein waiza

izzat tumhaari qibla-e-hajat rah gai

dil mein to KHak uDti hai zahir mein hain fida

ab to munafiqana mulaqat rah gai

dene ke badle dete hain sail ko jhiDkiyan

ye rah gae amir ye KHairaat rah gai

dil paemal karne the raftar-e-naz ko

ye chaal tujh se o but-e-bad-zat rah gai

aamada jaan lene pe meri thi wo magar

kya jaanen kyun ubhar ke teri gat rah gai

duniya se baDh ke kaun hai harjai dusra

do din na kis ke pas ye bad-zat rah gai

jo kuchh tha pas kar chuke sab nazr mai-farosh

ab mai-kashon ki qarz pe auqat rah gai

karna tha naqd-e-hosh use nazr ai 'qalaq'

pir-e-mughan ki hum se mudaraat rah gai

(857) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baqi Na Hujjat Ek Dam-e-isbaat Rah Gai In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Baqi Na Hujjat Ek Dam-e-isbaat Rah Gai is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Baqi Na Hujjat Ek Dam-e-isbaat Rah Gai for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Baqi Na Hujjat Ek Dam-e-isbaat Rah Gai in PDF.