Hain Tegh-e-naz-e-yar Ke Bismil Alag Alag

hain tegh-e-naz-e-yar ke bismil alag alag

sine mein hain tapan jigar-o-dil alag alag

qatil to rashk dekh zara apne kushton ka

maqtal mein bhi taDapte hain bismil alag alag

kya intizam hai mere laila-jamal ka

majnun rawan hain sab pas-e-mahmil alag alag

dekho bashar mein sanat-e-KHallaq-e-rozgar

sab ek hain magar hai shamail alag alag

farmate hain milap ka karta hun jab sawal

tu baat karne ke nahin qabil alag alag

ek shefta hai zulf ka ek mubtala-e-ruKH

hain shaiKH-o-barahman tere qail alag alag

mere tumhaare bulbul-o-gul munh chaDhenge kya

donon ko kar chuka hun main qail alag alag

makr-o-nifaq ishq se muddat talak raha

main dil se aur mujh se mera dil alag alag

ta ho tamiz lazzat-e-baadam-o-shahd mein

boson ka chashm-o-lab ke hun sail alag alag

kis kis ko dun main saKHt musibat mein jaan hai

ruKHsar-o-zulf mangte hain dil alag alag

kya mehr-o-mah kya gul-o-shamshad aaina

sab ho chuke hain tere muqabil alag alag

yakta tu wo hai momin-o-kafir yahud-o-gabr

wahdat ke tere sab hain ye qail alag alag

pa-e-nigah-e-ahl-e-nazar ke paDe hain nil

ruKHsar-e-naznin pe nahin til alag alag

aage to sath rahte the hum haala san par ab

rahta hai hum se wo mah-e-kaamil alag alag

andaz-o-naz-o-ghamza-o-shoKHi-o-kajrawi

hain ek mere dam ke ye qatil alag alag

qabze pe hath rakh ke 'qalaq' ne milai aankh

kal har raqib se sar-e-mahfil alag alag

(798) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hain Tegh-e-naz-e-yar Ke Bismil Alag Alag In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Hain Tegh-e-naz-e-yar Ke Bismil Alag Alag is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Hain Tegh-e-naz-e-yar Ke Bismil Alag Alag for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Hain Tegh-e-naz-e-yar Ke Bismil Alag Alag in PDF.