Hum To Hon Dil Se Dur Rahen Pas Aur Log

hum to hon dil se dur rahen pas aur log

sunghen gul-e-ezar ki bu-bas aur log

waiz hamein Dara na wafur-e-gunah se

us ke karam se hote hain be-as aur log

sauda-e-ishq yan to hai sar mein bhara hua

nam-e-junun se karte hain wiswas aur log

aazad-gan-e-ishq har ek haal mein hain shad

honge asir-o-ranj-o-gham-o-yas aur log

hain ser boriya-e-tawakkul ke faqa-mast

hote hain muztarib dam-e-iflas aur log

yan hai faqat hawas dur-e-dandan ke did ki

khate hain us ke danton pe almas aur log

sanjog ek apna tumhaara azal se hai

puchhen brahmanon se buto ras aur log

uTThe fana o ek na ek kya baid hai

ab baiThne lage hain tere pas aur log

us aab-e-lal par kabhi hum bhi muhit the

lab chus kar bujhae hain ab pyas aur log

hum to na ghar mein aap ke dam-bhar Thaharne paen

rose aaen jaen surat-e-anfas aur log

apne nasib mein to na ho aab-e-KHizr-e-lab

sairab hon ba-surat-e-ilyas aur log

diwan mein mere nahin bharti ke aise sher

bharte hain jaise safha-e-qirtas aur log

wo bewafa karega meri qadr kya 'qalaq'

karte hain apne aashiqon ka pas aur log

(705) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum To Hon Dil Se Dur Rahen Pas Aur Log In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Hum To Hon Dil Se Dur Rahen Pas Aur Log is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Hum To Hon Dil Se Dur Rahen Pas Aur Log for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Hum To Hon Dil Se Dur Rahen Pas Aur Log in PDF.