Humne Ehsan Asiri Ka Na Barbaad Kiya

hum ne ehsan asiri ka na barbaad kiya

marte dam munh taraf-e-KHana-e-sayyaad kiya

ab ki sayyaad ne turfa sitam ijad kiya

be-par-o-baal samajh kar hamein aazad kiya

kya teri yaad karenge falak-e-na-insaf

dil-e-nashad hamara na kabhi shad kiya

dil pe sadme liye jaur-o-sitam KHuban ke

zabt dekho na kabhi wa lab-e-fariyaad kiya

aasman ki na shikayat na hasinon ka gila

dil-e-na-fahm ne mere mujhe barbaad kiya

itna shikwa hai KHayal-e-ruKH-e-jaanan se hamein

dil-e-viran na hamara kabhi aabaad kiya

shefta kar ke mujhe ek bune harjai par

KHub ruswa-e-jahan ai dil-e-nashad kiya

hath aaya koi mazmun naya to samjha

mujh ko farzand-e-KHuda ne mere imdad kiya

ishq-e-KHuban mein hua ranj to rahat samjha

shukr main ne ewaz-e-shikwa-e-bedad kiya

kufr-o-islam ke jhagDon se chhuDaya sad shukr

qaid-e-mazhab se junun ne mujhe aazad kiya

mahfil-e-ghair mein bulwa ke jalaya hum ko

tum ne KHalwat mein kisi din na hamein yaad kiya

jis mein mazmun raqam tha teri KHush-chashmi ka

to usi sher pe ustad ne bhi sad kiya

koh-e-gham hum ne bhi o ghairat-e-shirin kaTa

josh-e-ulfat mein tere pesha-e-farhad kiya

ek din bhi na hamara koi kahna mana

hum baja lae jo kuchh aap ne irshad kiya

tere diwanon ka kis dasht mein maskan na hua

kaun sa hai wo KHaraba jo na aabaad kiya

hasart-e-qatl hi ne jaan li apni sad shukr

maut ne hum ko na sharminda-e-jallad kiya

dekho is ishq-e-fusun-saz ke nairang aaKHir

jaan li qais ki TukDe sar-e-farhad kiya

lakh chaha magar ek shoKH hamara na hua

kya jawani ko 'qalaq' muft mein barbaad kiya

(732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humne Ehsan Asiri Ka Na Barbaad Kiya In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Humne Ehsan Asiri Ka Na Barbaad Kiya is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Humne Ehsan Asiri Ka Na Barbaad Kiya for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Humne Ehsan Asiri Ka Na Barbaad Kiya in PDF.