Lutf-e-bahaar Mushfiq-e-man Dekhte Chalo

lutf-e-bahaar mushfiq-e-man dekhte chalo

bulbul ka Dhang rang-e-chaman dekhte chalo

bankon ko bankpan ko milao na KHak mein

tan tan ke yun na apna badan dekhte chalo

jate agar ho kucha-e-qatil ki sair ko

kapDa bhi thoDa bahr-e-kafan dekhte chalo

chashm-e-butan-e-dahr ki aafat hain shoKHiyan

sahra-e-husn ke bhi hiran dekhte chalo

kya kar rahi hai pesha-e-mashshatgi bahaar

aaraish-e-urus-e-chaman dekhte chalo

karti hai rah-e-shauq mein kis kis ko paemal

raftar-e-yar ke bhi chalan dekhte chalo

aae ho said-gah-e-jahan mein to ai 'qalaq'

tarz-e-shikar-e-tir-fagan dekhte chalo

(672) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lutf-e-bahaar Mushfiq-e-man Dekhte Chalo In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Lutf-e-bahaar Mushfiq-e-man Dekhte Chalo is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Lutf-e-bahaar Mushfiq-e-man Dekhte Chalo for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Lutf-e-bahaar Mushfiq-e-man Dekhte Chalo in PDF.