Milta Hai Qaid-e-gham Mein Bhi Lutf-e-faza-e-bagh

milta hai qaid-e-gham mein bhi lutf-e-faza-e-bagh

chaak-e-qafas se aati hai farfar hawa-e-bagh

roke zaban na bulbul-e-bustan sara-e-bagh

dohrae phir mere se kaho majra-e-bagh

sunte hain ab ki aai hai kis dhum se bahaar

kya ji phaDak raha hai qafas mein barae bagh

kin chahchahon mein apni basar hoti thi mudam

ai ham-safir kya ho bayan majra-e-bagh

guzre nasim idhar se to puchhenge hum asir

hum ko bhi yaad karte hain naghma-sara-e-bagh

ai ham-safir ab to chale qaid ho ke hum

taqdir dekhiye hamein phir kab dikhae bagh

mujh mast ka chaman mein shanasa koi nahin

ek duKHt-e-raz qadim se hai aashna-e-bagh

pate hain sarw-e-gul mein teri shakl qadd-o-ruKH

furqat mein ji kahin nahin lagta siwae bagh

us din se apne bulbul-e-dil ko hai ishq-e-gul

gulzar-e-dahr mein hui jaise bina-e-bagh

milta nahin hai naKHl-e-tamanna se yan samar

phir koi kis umid pe is ja lagae bagh

nargis ki hai wo aankh na gul ka wo rang hai

chalti hai ab ki sal muKHalif hawa-e-bagh

ab chahchahe hain wo na nawa-sanjiyan hain wo

shayad guzar gaya 'qalaq'-e-KHush-nawa-e-bagh

(772) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Milta Hai Qaid-e-gham Mein Bhi Lutf-e-faza-e-bagh In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Milta Hai Qaid-e-gham Mein Bhi Lutf-e-faza-e-bagh is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Milta Hai Qaid-e-gham Mein Bhi Lutf-e-faza-e-bagh for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Milta Hai Qaid-e-gham Mein Bhi Lutf-e-faza-e-bagh in PDF.