Roz-e-awwal Se Asir Ai Dil-e-nashad Hain Hum

roz-e-awwal se asir ai dil-e-nashad hain hum

parwarish-yafta-e-KHana-e-sayyaad hain hum

kis tarah se na pise dil ruKH-e-gandum-gun par

aaqibat hazrat-e-adam hi ki aulad hain hum

jo laDakpan se hai gahwara-e-betabi ki

naz-parwarda-e-ishq-e-sitam ijad hain hum

kyun na ho ranj-e-asiri-e-qafas se rahat

KHana-zad-e-chaman-e-gulshan-e-bedad hain hum

KHusraw-e-shahr-e-ada hai jo wo rashk-e-shirin

koh-e-andoh-o-gham-o-yas ke farhad hain hum

did-e-sanat se hai yan ghayat-e-did-e-sanea

ai buto shefta-e-husn-e-KHuda-dad hain hum

qil se roke use hum pe jab late hain

tifl-e-ashk apne ye kahte hain ki ustad hain hum

qaid se bhi na riha ho ke hawa kuchh dil shad

mubtala-e-gham-e-tanhai-e-sayyaad hain hum

chaman-e-dahr mein be-wajh nahin hain nalan

andalib-e-gul-e-ruKHsara-e-sayyaad hain hum

apni miras mein hain dasht-o-jabal ai wahshat

ja-nashin qais ke hain waris-e-farhad hain hum

hathkaDi karti hai baiat to qadam lete hain KHar

tere diwane jo ai rashk-e-pari-zad hain hum

qadr apni na jahan mein hui ba-wasf-kamal

sifat-e-bu-e-gul is bagh mein barbaad hain hum

shikwa karta hun tabahi ke to farmate hain

KHana-barbaadi-e-ushshaq ki buniyaad hain hum

jaan-nisaron se hai tegh-e-nigah-e-yar ka qaul

dam mein lakhon ko karen qatl wo jallad hain hum

hum shikayat nahin kuchh karte tumhin munsif ho

wajibur-rahm hain ya qabil-e-bedad hain hum

hum samajhte hain paDhai hui baaten na karo

tifl-e-maktab ho tum ai jaan abhi ustad hain hum

gesu-e-yar ke saude ne kiya KHana-KHarab

kya hua KHwahi-e-sayyad mein barbaad hain hum

aaj hoti hai 'qalaq' qata-e-ummid-e-didar

nigaran is liye su-e-ruKH-e-jallad hain hum

(793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Roz-e-awwal Se Asir Ai Dil-e-nashad Hain Hum In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Roz-e-awwal Se Asir Ai Dil-e-nashad Hain Hum is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Roz-e-awwal Se Asir Ai Dil-e-nashad Hain Hum for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Roz-e-awwal Se Asir Ai Dil-e-nashad Hain Hum in PDF.