Rag-o-pai Mein Bhara Hai Mere Shor Uski Mohabbat Ka

rag-o-pai mein bhara hai mere shor us ki mohabbat ka

namak-parwar wo hun main yar ke husn-o-malahat ka

banane se mere bigDa ye rang un ki tabiat ka

mujhi se hai pari-zadon ko dawe aadamiyat ka

KHaridari-e-jins-e-husn par raghbat dilata hai

bana hai shauq-e-dil dallal bazar-e-mohabbat ka

sada-e-ah hai mizrab-e-gham ki chheD se paida

dil-e-nalan naya parda hai qanun-e-mohabbat ka

jo waqt-e-qatl us ke lal-e-shirin ka paDa partaw

pilaya aab-e-tegh-e-yar ne sharbat shahadat ka

hua ye dil na jab mera to phir kya aur ka hoga

bharosa kijiyo tum bhi na aise be-murawwat ka

zamane ko to mere waste in sab ne chhoDa hai

na hun kis tarah main mamnun dard-o-ranj-o-mehnat ka

abas aasudgan-e-KHak ko bad-KHwab karte ho

abhi se kyun macha rakkha hai hangama qayamat ka

zaifi mein bashar lahw-o-lab ko tark karte hain

safedi mu-e-sar ki nur hai kya chashm-e-ibrat ka

bahaar-e-bagh-e-alam be-sabaat aisi hai ai bulbul

guman hai KHanda-e-gul par sada-e-kus-e-rehlat ka

dabistan-e-azal mein ustad-e-ishq ne mujh ko

sabaq pahle diya tha abjad-e-wab-e-mohabbat ka

sada yan hillat-e-bint-e-anab ki aqd jari hai

tariqa hai nirala pir-e-mai-kash ki tariqat ka

jo paya mughbachon mein tarz-e-eajaz-e-masihai

hua zahid bhi qail pir-e-mai-kash ki karamat ka

subut-e-jurm ulfat kar ke mara us ke saude ne

teri zulf-e-rasa darrah bani shara-e-mohabbat ka

na dekha muD ke bhi phir ahd-e-piri mein jawani ne

abas mazkur karte ho tum aise be-murawwat ka

wo bekas hun siwae shabnam-e-giryan pas-e-murdan

diya rone mein kis ne sath meri sham-e-turbat ka

ghubar-e-kina-o-bughz-o-hasad se pak hai ye dil

hamare aaine ne munh nahin dekha kudurat ka

karen kya rind mashrab iKHtiyar ek mazhab ai waiz

nahin dil toDna manzur haftad-o-do-millat ka

'qalaq' har waqt ab hai samna taklif-e-piri ka

jawani luT kar sab le gai asbab rahat ka

(925) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rag-o-pai Mein Bhara Hai Mere Shor Uski Mohabbat Ka In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Rag-o-pai Mein Bhara Hai Mere Shor Uski Mohabbat Ka is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Rag-o-pai Mein Bhara Hai Mere Shor Uski Mohabbat Ka for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Rag-o-pai Mein Bhara Hai Mere Shor Uski Mohabbat Ka in PDF.