Pinhan Tha KHush-nigahon Ki Didar Ka Maraz

pinhan tha KHush-nigahon ki didar ka maraz

band aankh jab hui to hamara khula maraz

be-dar-o-visal na ye jaega maraz

sach hai firaq-e-yar ka hai jaan-guza maraz

kya bad-bala hai ishq-e-kuhan-sal ka maraz

hota hai naujawan ko ye barha maraz

mohlik tha kaisa un ki mulaqat ka maraz

baDhte hi un se rabt mera ghaT gaya maraz

kya jaanen kaun rog hai ishq-e-bala-e-jaan

saya hai koi ya ki jhapaTTa hai ya maraz

isa ke pas bhi koi is ki dawa nahin

kahte hain jis ko ishq wo hai maut ka maraz

wada visal ka na koi sach kiya kabhi

tum ko bhi jhuT bolne ka ho gaya maraz

aaina-ru jahan koi dekha phisal gaya

aage hamare dil ko to aisa na tha maraz

buqraat kya masih bhi dekhen to den jawab

tere mariz-e-ishq ka hai la-dawa maraz

danton pe shefta the hue ab fida-e-lab

tha rog ek to ye hua dusra maraz

aaram dard-e-ishq se dil ko kamal hai

sehat se bhi aziz mujhe hai siwa maraz

waqif hain hum natija-e-azar-e-ishq se

be-gaur ke jhankae to ye ja chuka maraz

ulfat ke aarzi ki dawa hai ajal ke pas

jate hue kabhi nahin aisa suna maraz

kya kya taras taras ke nikalti hai jaan-e-zar

is ishq ka hai sab marazon se siwa maraz

dil ko hamare ulfat-e-ariz hai aarzi

kya ai 'qalaq' raha hai kisi ka sada maraz

(1779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pinhan Tha KHush-nigahon Ki Didar Ka Maraz In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Pinhan Tha KHush-nigahon Ki Didar Ka Maraz is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Pinhan Tha KHush-nigahon Ki Didar Ka Maraz for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Pinhan Tha KHush-nigahon Ki Didar Ka Maraz in PDF.