Yar Ke Nargis-e-bimar Ka Bimar Raha

yar ke nargis-e-bimar ka bimar raha

yahi aazar mere darpai-e-azar raha

umr-bhar shefta-e-chashm-o-lab-e-yar raha

kabhi surat rahi mujh ko kabhi bimar raha

dil ko mere na zara ranj shab-e-tar raha

sham-e-afroz KHayal-e-ruKH-e-kaddar raha

lab pe dil-soKHton ke nala sharar-bar raha

sard-mehri ka tere garm ye bazar raha

main fida ruKH pe wo zulfon ka giraftar raha

dil ko tujh se na mujhe dil se sarokar raha

KHud-faroshi sar-e-bazar jo lai un ko

misr mein ek na yusuf ka KHaridar raha

mere marne se phansa dam-e-gham-o-ranj mein wo

main riha ho gaya sayyaad giraftar raha

but-parasti mein bhi bhuli na mujhe yaad-e-KHuda

hath mein subha gale mein mere zunnar raha

lakh asiron ko kiya tum ne riha zindan se

ek mahrum-e-inayat ye gunahgar raha

teri ai wahshat-e-dil dast-daraazi na gai

baad-e-murdan bhi kafan mein na koi tar raha

rauzan-e-qabr se jhanke jo wo isa aaya

mar gae par bhi hamein did ka aazar raha

chum lin nashshe mein aaj un ki nashili aankhen

ain be-hoshi-e-lazzat mein bhi hoshiyar raha

ruKH se apne jo naqab us ne uThaya to kya

parda-e-sharm-o-haya mane-e-didar raha

dasht-e-wahshat mein rahe qais se lakhon hamrah

sare diwanon ka main qafila-salar raha

be-KHata kaun dil-azar KHafa tha tum se

umr-bhar tu jo 'qalaq' zist se bezar raha

(862) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yar Ke Nargis-e-bimar Ka Bimar Raha In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Yar Ke Nargis-e-bimar Ka Bimar Raha is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Yar Ke Nargis-e-bimar Ka Bimar Raha for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Yar Ke Nargis-e-bimar Ka Bimar Raha in PDF.