Ye Barik Unki Kamar Ho Gai

ye barik un ki kamar ho gai

ki nazron mein tar-e-nazar ho gai

paDa donon zulfon ka un ki jo aks

nazakat se dohri kamar ho gai

gale chaDhne masti mein maston ke munh

baDi duKHtar-e-raz ye niDar ho gai

wo ab kaT tegh-e-nigah ka nahin

kuchh aankhon par un ki nazar ho gai

mera naqd-e-dil mar baiThe hasin

ye daulat idhar se udhar ho gai

kiya un ke munh pe jo wasf-e-dahan

faqat ranjish is baat par ho gai

khuli KHwab-e-ghaflat se piri mein aankh

shab-e-naujawani sahar ho gai

lifafe par apna na likkha tha nam

KHata itni ai nama-bar ho gai

kiya hans ke sun kar sawal-e-visal

tumhein jurat ab is qadar ho gai

qadam rakhte hi khaDkhaDa mar richh

adu un ki zanjir-e-dar ho gai

ajal se koi kah de phir jae aap

masiha ko mere KHabar ho gai

na jhuTon bhi utna kisi ne kaha

shab-e-gham teri be-sahar ho gai

bure ya bhale haal guzri 'qalaq'

gharaz har tarah se basar ho gai

(685) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Barik Unki Kamar Ho Gai In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Ye Barik Unki Kamar Ho Gai is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Ye Barik Unki Kamar Ho Gai for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Ye Barik Unki Kamar Ho Gai in PDF.