Kuchh Darja Aur Garmi-e-bazar Ho Buland

kuchh darja aur garmi-e-bazar ho buland

dil bechiye ki zauq-e-KHaridar ho buland

bab-e-qubul band hai dast-e-talab par ab

rab chahta hai pa-e-talabgar ho buland

jhuk jaega subu bhi koi jam to uThae

dana hai muntazir koi minqar ho buland

dekhi thi jis ne pyas wo pani to bah chuka

imkan nahin ki parcham-e-inkar ho buland

naKHun bheDiyon ke to baDhte hi jate hain

koi kaman uThe koi talwar ho buland

mujh ko ba-qadr-e-tesha nahin sang-e-rahguzar

'arshad' mere liye koi kohsar ho buland

(629) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Darja Aur Garmi-e-bazar Ho Buland In English By Famous Poet Arshad Jamal Hashmi. Kuchh Darja Aur Garmi-e-bazar Ho Buland is written by Arshad Jamal Hashmi. Read famous Poem Kuchh Darja Aur Garmi-e-bazar Ho Buland for youth and Student by Arshad Jamal Hashmi. Free Download Kuchh Darja Aur Garmi-e-bazar Ho Buland in PDF.