KHwab Kya Hai Ki TuTta Hi Nahin

KHwab kya hai ki TuTta hi nahin

ek nasha hai ki TuTta hi nahin

is ne kya kya sitam na toDe hain

dil mera hai ki TuTta hi nahin

TuTta ja raha hai ek ek KHwab

silsila hai ki TuTta hi nahin

rishte nate tamam TuT gae

sar-phira hai ki TuTta hi nahin

pau phaTi ang ang TuTta hai

aur nasha hai ki TuTta hi nahin

lahren aa aa ke TuT jati hain

ek ghaDa hai ki TuTta hi nahin

dil ke dariya mein kaisa sang gira

daera hai ki TuTta hi nahin

naw TuTi do-nim hai patwar

hausla hai ki TuTta hi nahin

dhaga kachcha sahi magar 'arshad'

yun bandha hai ki TuTta hi nahin

(672) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

KHwab Kya Hai Ki TuTta Hi Nahin In English By Famous Poet Arshad Jamal Hashmi. KHwab Kya Hai Ki TuTta Hi Nahin is written by Arshad Jamal Hashmi. Read famous Poem KHwab Kya Hai Ki TuTta Hi Nahin for youth and Student by Arshad Jamal Hashmi. Free Download KHwab Kya Hai Ki TuTta Hi Nahin in PDF.