Bas Ki Ek Lams Ki Ummid Pe Ware Hue Hain

bas ki ek lams ki ummid pe ware hue hain

so tere samne ye KHak pasare hue hain

jaane kab un ko bujha baiThe koi baad-e-alam

sar-e-mizhgan-e-tamanna jo sitare hue hain

zindagi tu bhi hamein waise hi ek roz guzar

jis tarah hum tujhe barson se guzare hue hain

nit-nae naqsh karen us pe aziyyat ke raqam

aa ki hum taKHti-e-dil apni pachaare hue hain

kab kuchal jaen kisi panw se hum barg-e-wajud

waqt ki dhup mein waise hi karare hue hain

jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libas

hum tera rup jo aashuftagi dhaare hue hain

apni jurat ki sataish ho ki hum chob-mizaj

rabt rakhte hain sada un se jo aare hue hain

(845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Ki Ek Lams Ki Ummid Pe Ware Hue Hain In English By Famous Poet Arshad Jamal 'Sarim'. Bas Ki Ek Lams Ki Ummid Pe Ware Hue Hain is written by Arshad Jamal 'Sarim'. Read famous Poem Bas Ki Ek Lams Ki Ummid Pe Ware Hue Hain for youth and Student by Arshad Jamal 'Sarim'. Free Download Bas Ki Ek Lams Ki Ummid Pe Ware Hue Hain in PDF.