Do-chaar Sitare Hi Meri Aankh Mein Dhar Ja

do-chaar sitare hi meri aankh mein dhar ja

kuchh der to ai saat-e-shab mujh mein Thahar ja

ab aur sambhaali nahin jati teri hurmat

yun kar gham-e-jaanan meri nazron se utar ja

ta-umr tera naqsh-e-farozan rahe mujh mein

ek zaKHm ki surat mere mathe pe ubhar ja

chhoD aana wahin par zara aawara-mizaji

sahra ki taraf ai dil-e-nadan agar ja

ya ho ja tu dariya ki nigahon mein taraazu

ya tishna-labi sath liye jaan se guzar ja

jab zehn ko sunni hi nahin baat tumhaari

dil tu bhi rusumat-e-tahum se mukar ja

(825) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Do-chaar Sitare Hi Meri Aankh Mein Dhar Ja In English By Famous Poet Arshad Jamal 'Sarim'. Do-chaar Sitare Hi Meri Aankh Mein Dhar Ja is written by Arshad Jamal 'Sarim'. Read famous Poem Do-chaar Sitare Hi Meri Aankh Mein Dhar Ja for youth and Student by Arshad Jamal 'Sarim'. Free Download Do-chaar Sitare Hi Meri Aankh Mein Dhar Ja in PDF.