Dikhati Hai Jo Ye Duniya Wo BaiTha Dekhta Hun Main

dikhati hai jo ye duniya wo baiTha dekhta hun main

hai tuf mujh par tamasha-bin ho kar rah gaya hun main

bas itna rabt kafi hai mujhe ai bhulne wale

teri soi hui aankhon mein akasr jagta hun main

na kyun hogi meri bar-awri phir dekhne laeq

mohabbat ki mahakti KHak mein boya gaya hun main

meri aabaadiyon mein chaar-su bikhra hai sannaTa

hisar-e-KHauf se chaaron taraf bandha gaya hun main

rulati hain meri yaaden hamesha KHun ke aansu

kisi nadar pe guzra hua ek hadsa hun main

musalsal hi baDhai hain kisi ki dhaDkanen main ne

musalsal hi kisi ke zehn se socha gaya hun main

wirasat hun main ek Dhalti hui tahzib ki 'sarim'

kahin khoya gaya hun main kahin paya gaya hun main

(756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dikhati Hai Jo Ye Duniya Wo BaiTha Dekhta Hun Main In English By Famous Poet Arshad Jamal 'Sarim'. Dikhati Hai Jo Ye Duniya Wo BaiTha Dekhta Hun Main is written by Arshad Jamal 'Sarim'. Read famous Poem Dikhati Hai Jo Ye Duniya Wo BaiTha Dekhta Hun Main for youth and Student by Arshad Jamal 'Sarim'. Free Download Dikhati Hai Jo Ye Duniya Wo BaiTha Dekhta Hun Main in PDF.