Iztirab Aisa Hua Dil Ka Sahaara Mujhko

iztirab aisa hua dil ka sahaara mujh ko

koi Thahraw nahin KHud mein gawara mujh ko

sar uThati hai wo tajdid ki KHwahish mujh mein

naqsh-gar sochne lagta hai dobara mujh ko

main tahi-dast khaDa tha sar-e-sahra-e-hayat

aarzu ne teri yak-laKHt pukara mujh ko

ja pahunchna kisi rifat ko nahin hai dushwar

han! Thaharne ka wahan chahiye yara mujh ko

dekh ai meri zabun-haali pe hansne wale

waqt ki dhup ne kis darja nikhaara mujh ko

ek kankar sa mozahim mein rahunga kab tak

le hi jaega baha kar koi dhaara mujh ko

waqt ne jaane banana hai mujhe kya 'sarim'

gardish-e-chaak se ab tak na utara mujh ko

(741) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Iztirab Aisa Hua Dil Ka Sahaara Mujhko In English By Famous Poet Arshad Jamal 'Sarim'. Iztirab Aisa Hua Dil Ka Sahaara Mujhko is written by Arshad Jamal 'Sarim'. Read famous Poem Iztirab Aisa Hua Dil Ka Sahaara Mujhko for youth and Student by Arshad Jamal 'Sarim'. Free Download Iztirab Aisa Hua Dil Ka Sahaara Mujhko in PDF.