JuDe Hue Hain Pari-KHane Mere Kaghaz Se

juDe hue hain pari-KHane mere kaghaz se

jo uTh rahe hain ye afsane mere kaghaz se

katarta rahta hai miqraaz-e-chashm se mujh ko

banana kya hai use jaane mere kaghaz se

qalam ne nok-e-alam kya rakhi ba-chashm-e-dil

chhalakne lag gae paimane mere kaghaz se

raqam karun bhi to kaise main dastan-e-wafa

huruf phirte hain begane mere kaghaz se

abhi rakhi bhi nahin lau charagh par main ne

lipaT gae kai parwane mere kaghaz se

kudal-e-KHama se bota hun main junun 'sarim'

so ugte rahte hain diwane mere kaghaz se

(934) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

JuDe Hue Hain Pari-KHane Mere Kaghaz Se In English By Famous Poet Arshad Jamal 'Sarim'. JuDe Hue Hain Pari-KHane Mere Kaghaz Se is written by Arshad Jamal 'Sarim'. Read famous Poem JuDe Hue Hain Pari-KHane Mere Kaghaz Se for youth and Student by Arshad Jamal 'Sarim'. Free Download JuDe Hue Hain Pari-KHane Mere Kaghaz Se in PDF.